Category Archives: Hindi & Urdu

Sagufta hote huye ehsaas

Standard

Image

Rafta rafta khudko jalake raftar na payi maine,

Bus kuch ankahin barbadio se jurta gaya.

Sapno ke bawanddar main kuch iskadar uljha tha,

Ke khud ko rafta rafta khota chala gaya.

Ab magar ek naya sa ehsaas hai sagufta sa dil main,

Ke jehen main hai phirse jagte huye kuch ehsason ki kahani.

Unhi raston main

Standard
Dusro ki talash main mai khud ko bhula baitha hu… Ke mere jine ke tarike kuch or huya karte the. Kabhi jo raas na ayi duniya mujhe, kyu main uss main rishte banane nikla hu. Wo banjarapan hi to mera chuna huya zariya tha , Sannatto ki aar main jine ke khatir. Chal a nadan dil mere, unhi raston main phir laut chale ….ke jannat tanhayiyo mai hi to naseeb hoti hai.

Fakir

Standard
Ek Beparwah Fakir , Muntazir Hu Me Parwardigar Teri Roshni Main.

Ek Mukammal Jahan Ki Panah Main Sagufta Huya Hu Me.

Jannat Kahin Or Shayad Na Mile Is Ruh Ko, Hasti Mitne Ke Baad,

Isliye Teri Talash Main Sari Kaynat Se Jura Hu Me.

Dastan – A – Ruh

Standard

Hum to shayer hai ghum-a-mehfilo ke
Dard-a-mohabbat ko bayan karte hai..

Saki bhi nahi hai or jam bhi
Phir bhi mehkhane mai piya karte hai..

Dil jalta hai jab sharab utarti hai sine mai
Phir bhi hum paimane chalkaya karte hai..

Mezban koi nahi hai humara
Phir bhi hum mehfilo mai jaya karte hai..

Mout bhi nahi ati hai kambakhat zindagi ko
Isliye hum roj khudko dafnaya karte hai..